Wednesday, January 21, 2009

Scrapped

Nahi, waqt ne kuch nahi kiya
Bhagwaan ko toh bichmein mat lao
Kismat ko main maanta hi nahi,
toh fir mein hi zimandaar hun,
jo kuch bhi mein aaj hun..

Kholke ke aankhe dekhta hun
wahi lete lete muskuraata hun
zinda hone ka ehsaas se
khud hi ko himmat dilaata hun..

lekin kabhi kabhi himmat tootati hai,
saasein bhi jeene ki zidd chodti hai,
lagta hai jaise dil se jaan fisalti hai,

Ghutan si hoti hai yahan..
Rang maano udd gaye..
ab toh chaddar bhi safed..
padade bhi safed..
diwaarein bhi safed..

khidki ki dhool..
table ke phool..
saline ke bottlon mein..
dawaiyon ki khusboo mein..
safed palang pe leta hua..
main AIDS ka ek laachaar mariz..



Apoorva
blog comments powered by Disqus