Tuesday, September 16, 2008

Jugal Bandi

Sushant:
jale hue ciggarette ke tukde
kuchh fate purane akhbar
kuchh purani khali botlein
aur isi bhool bhulaiya mein
mujhe khojti meri zindagi

Apoorva:
un cigarette ke tukdo ne kisi ko raahat ki saans di hogi
purane akhbar mein kisi ki toh tasveer chappi hogi
purani khali botlon mein kabhi to jaam chalka hoga

meri zindagi toh pehle bhi khaali thi,abhi bhi viraan hai,
inn chizon mein mujhe zindagi milti hai dost,toh woh meri nahi,kisi aur ki hai!!

1 comment:

  1. Abhijit :

    Isi kashmakash mein guzar rahi hai zindagi,
    ki mein apne banaaye hue raasto pe chalu,
    ya duniya ki raaho mein kho jaaoo;
    dono raasto pe safar to kat jaaega...

    Agar khud ki raho pe chalaa to shaayad koi nayi manzil paaoonga,
    ya yeh bhi ho sakta hai,ki khud ki koi pehchaan nahi banaa paoongaa;
    Dard to isi baat ka hai,agar zamaane ki raho pe chalaa;
    To bas cigarette,akhbaar aur botlon ka ek dher banke reh jaaoonga!!

    ReplyDelete