Monday, September 29, 2008

sadak

pehli baar jab usko dekha,
zindagi ko ru-ba-ru dekha,
khudko khudi se haarte hua dekha,
dard se naata toot te hue dekha.

chal pada uss raah par,
jin par teetli ne apne rang khoye,
uss mohabbat ki sadak par,
jidher mitti ne bhi apni khusbu khoyi!

soch raha tha kaise baat karun,
ya nigahon ko baat karne ka mauka doon,
tabhi unohe dekha iss kadar
karke dosti ka haath aagey

kuch waqt toh do mujhe zara,
mohabbat se pyaar udhaar lu zara,
inn palo ko dil mein sazza lu zara,
unn labzo ko zubaan tak laau zara.

phir woh duniya hi kuch aur thi,
jismein mujhe usne uttaaraa,
phir woh safar hi kuch jannat bana,
jismein akela kabhi tha mein aawaaraa.

pehle mein sochta tha,
ke ab toh maut hi zindagi ka muuawazaa hai,
ab toh jaise bahana mila,
maut se bhi zindagi maangane ka!

phir woh kahani yaad aai,
pyaar ki tabahi yaad aai,
uske chod jaane ki yaad aai,
uss puraane bedard pyaar ki yaad aai.

kehta tha mein ke woh pehla pyaar tha,
wahi mere zindagi ka saccha pyaar tha,
magar jiski duniya mein filal mein khush tha,
usine mere atith ko bhi anjaane mien hi bhula diya

mera kal toh usika tha,
tab puri zindagi usike naam thi,
kitna ajeeb dil hai mera,
ke aaj kisi aur ke naam kar di.

bina soche samjha jab mein,
aaj uska ho gaya hoon,
kya safai dunga mein khudko,
ke aaj mein kitna badal gaya hoon!

apni soch mein khoya hua,
shyad mein uske saath chal raha tha,
hosh mein aatey hi usko dekhna chaha,
toh uss sunsan sadak pe mein akela hi khada tha

door door tak kahin woh mujhe
nazar hi nahi aai
tab jaana meine ke
yeh mere tutte hue dil ka hi khel tha

tham gaya waqt
na tham paaye aasun
mitt gayi aakhein
na mitt paye dard

akele chalte chalte meine sikha,
jab naa rahein saath kisika,
koi gum nahi iss baat ka,
kam se kam saath hai iss akeli sadak ka...

Apoorva
blog comments powered by Disqus